Kuchh dhuaa dhuaa si yaadein...
Tumhe rulaae , tadpaaye to...
Toot kar na bikhar jana tum ....
Main tumhare kareeb rahungi hameshaa.... hardumm...
Kuch neer sa aankhon se beh jaye to...
Kabhie aankhon par gehra sa
Koi baadal chhaye to...
Udaas ho kar maun na ho jana tum....
Main tumhare kareeb rahungi hamesha... hardumm...
Koi ankaha ehsaas tumhe sataaye to...
Kuchh dard mile aur koi na baante to...
Kuchh galiyaaro ka sunapan kaate to...
Tanhai mein sihar na jana tumm...
Main tumhare kareeb rahungi hamesha... hardumm...
No comments:
Post a Comment